Phir Aaj Mujhe Tum Ko Bas Itnaa Bataana Hai.
Hansna Hi Jeevan Hai, Hanste Hi Jaana Hai.
Madhuban Ho Ya Gulshan Ho, Patjharh Ho Ya Saavan Ho.
Har Haal Mein Insaan Ka Ik Phool Sa Jeevan Ho.
Kaanton Mein Ulajh Ke Bhi Khushboo Hi Lutaana Hai.
Har Pal Jo Guzar Jaaye, Daaman Ko To Bhar Jaaye.
Ye Soch Ke Jee Lein To Taqdeer Sanvar Jaaye.
Is Umr Ki Raahon Se Khushiyon Ko Churaana Hai.
Sab Dard Mitaa Dein Ham, Har Gam Ko Sazaa Dein Ham.
Kahate Hain Jise Jeena Duniyaan Ko Sikhaa Dein Han.
Ye Aaj To Apna Hai, Kal Bhi Apnaana Hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment