Thursday, July 26, 2007

APNI ZINDAGI TERA NAAM...........

apni zindagi ki har sham teray naam kar doun teri hii ankhoun ka jam teray naam kar doun
main doubh jaoun teri in jheel si gahri ankhoun main phir apni barbadi ka ilzam teray nam kar doun
main apni Rouh koo teray Wajood mai bhar doun phir apni zaat apna har payam teray naam kar doun
tou mojhay mouhubat ka aghaz day sanam main apnay payar ka anjam teray naam kar doun
mohabatoun kay qaseeday likhoun teri sanaa mai hazaron payar kay paygham teray naam kar doun
hou jis ka zikar mouhubaat kii har kahani mai eik aysa payar ka paygham teray naam kar doun

No comments: